Padmavati Mata Strotra

Also recited while doing Mata ka Shringar

Padmavati Mata Strotra

Jinshasni Hanshasni Padmavati Mata |

Bhuj char de fal char de Padmavati Mata || Tek ||

Jab Parshwanath ji ne Shukla Dhyan Aarambha |

Kamthesh ne upsarg tab, kiya tha achambha ||

Nij nath sahit, aapke sahay kiya hai |

JinNath ko Nij Math pe chadhaye liya hai || JinShashni || 1 ||

Fanteen suman leen tere Sheesh viraje |

Jinraj Jahan dhyan dhare aap viraje ||

Fanindra ne fan ki kari Jinendra pe chaya |

Upsarg varg met ke anand badhaya || Jinshahsni || 2 ||

Jin Parshv ko hua, tabhi keval sugyan hai |

Samvsharan ki bani rachna mahan hai ||

Prabhu ne kiya dharmarth kaam moksh daan hai |

Tab Indra ne aake kiya pooja vidhaan hai || Jinshasni || 3 ||

Jab se kiya tum Parshv ke upsarg ka vinaash |

Tab se hua jash aapka trilok mein prakash ||

Indradi ne bhi aapke gun me kiya hulaas |

Kis vaste ki Indra khaas Parshv ka hai das || Jinshasni || 4 ||

Dharmanurag rang mein umang bhari ho |

Sandhya saman lal rang ang dhari ho ||

Jin sant sheel vant pe, turant khadi ho |

Manbhavati darshavani, anand badi ho || Jinshasni || 5 ||

Jin dharm ki prabhavana ka bhaav kiya hai |

Tin saath ne bhi aapko sahay liya hai ||

Tab aapne is baat ko banay liya hai |

Jin dharm ke nishaan ko fahray diya hai || Jinshashni || 6 ||

Tha Bodh ne Tara ka kiya kumbh mein thapan |

Aklank ji se karte rahe baad vidyapan || 

Tab aapne sahay kiya dhaya Maat ban |

Tara ka hara maan hua bodh uthapan ||Jinshashni || 7 ||

Ityadi jahan dharam ka vivaad pada hai |

Tab aapne par wadiyon ka maan hara hai ||

Tumse se hi syadvad ka nishan khara hai |

Is vaste hum aapse anurag dhara hai || Jinshashni || 8 || 

Tum Shabd Brahm roop mantra moorti dharaya |

Chintamani saman kamna ki bharaiya ||

Jag jap jog jain ki sab sidhh karaiya |

Parvaad ke puryog ki tatkal haraiya || Jinshashni || 9 ||

Lakhi Parshv tere paas shatru traste bhajein |

Ankush nihar dusht jusht darp ko tyajein ||

Dukh roop kharv garv ko vajra harein hain |

Kar kanj mein ik kanj so sukh punj bharein hain || Jinshashni || 10 || 

Charnar vrind mein hai nupur aadi abharan |

Kati mein saar mekhla pramod ki karan ||

Ur mein hai suman maaal suman bhanl ki mala |

Shat rang ang sang sang sohe hai vishala || Jinshashni || 11 ||

Kar kunj charu bhushan so bhoori bhara hai |

Bhavi Vrind ko anand kand poori kara hai ||

Jug bhaan karn kundal so jyoti dhara hai |

Sir sheesh phool phool so atulya bhara hai || Jinshashni || 12 ||

Mukh chandra ko amand dekh chandra bhi thamba |

Chavi her har ho raha rambha ko acchambha ||

Drig teen sahit laal tilak bhaal dhare hain |

Viksit mukharvind so anand jhare hain || Jinshashni || 13 ||

Jo aapko trikal lal chah so dhyawe |

Vikral bhumi pal use bhal jhukave ||

Jo preeti so prateet aur preeti badhave |

So riddhi siddhi vriddhi navi nidhi ko pavein || Jinshashni || 14 ||

Jo deep daan ke vidhaan se tumhe jape |

To payay ke nidhan tej punj se dipe ||

Jo bhed manta ved mein nived kiya hai | 

So baadh ke upadhi siddh saadh liya hai || Jinshashni || 15 ||

Dhan Dhanya ka arthi hai so dhan dhanya ko paave |

Santan ka arthi hai so santan khilawe ||

Nijraj ka arthi hai so raj lahawe |

Pad bhrashta supad paye ke man mod bhadhawe  || Jinshashni || 16 ||

Grih kroor vyantral vyal jaal pootna |

Tum naam ke sunat hi bhaage bhootna ||

Kaf vaat pitta rakt rog shok shakini |

Tum naam se darat mahi parat dakini || Jinshashni || 17 ||

Bhaybheet ki harni hai, tuhi maat bhavani |

Upsarg durg dravati durgavati rani ||

Tum sankata samasta kashta katni daani |

Sukhsaar ki karni tu Shankarish Maharani || Jinshashni || 18 ||

Is vakt mein jin bhakt ko dukh vyakt satave |

Hey maat tujhe dekh ke kya dard na aave ||

Sab din se to karti rahi jin bhakt pe chaya |

Kis vaste us baat ko aye maat bhulaya || Jinshashni || 19 ||

Hey Maat mere sarv hi aoraadh kshama kar |

Hota nahi kya baal se kuchaal yahan par ||

Kuputra to hote hain, jagat mahi sarasar |

Mata na taje tinse kabhi neh janam bhar || Jinshashni || 20 ||

Ab maat meri baat ko sab bhaati sudharo |

Manokamana ki siddhi karo, vighan vidaaro ||

Mat der karo meri oor nek niharo |

Kar kanj ki chaya karo, dukh dard nivaaro || Jinshashni || 21 ||

Brahmadni, sukhmandani khalkhandani khyata |

Dukh tari ke parivaar sahit de mujhe sata ||

Taj ke vilaamb ambaji avilamb dijiye |

Vrish chand vrind nand ko anand djiye || Jinshashni || 22 ||

Jin dharm se digne ka kahin aa pade karan |

To lijiye ubaar mujhe bhakt udaran ||

Nij karm ke sanyog se jis yoni mein jaon |

Tahan dijiye samvyaktav jo Shiv dhaam ko paon ||

Jinshahsni hanshashni Padmavati mata |

Bhuj char dein phal char dein Padmavati Mata || Jinshashni || 22 ||

Total
0
Shares
Prev
Teerth Kshetra, SiddhKshetra,Atishay Kshetra,Purana Kshetra, Gyan Kshetra

Teerth Kshetra, SiddhKshetra,Atishay Kshetra,Purana Kshetra, Gyan Kshetra

Short description of the Kshetras for clarity

Next
Stuti- Prabhu Patit Pavan

Stuti- Prabhu Patit Pavan

Stuti - Aarti praising the 24 tirthankars

You May Also Like